Patrocinado
Wafa meN ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai
Woh sach kahay na kahay aaitebaar karna hai


Yeh tujh ko jaagtay rahnay ka shouq kab say huaa?
Mujhay to khair teraa intezaaar karna hai


Hawa ki zad meN jalanay haiN ansoN kay chiraagh
Kabhi yeh jashan sar E rahguzaar karna hai


Woh muskura kay naye waswasoN meN daal gaya
Khayaal tha K usay sharamsaar karna hai


Misaal E shaakh E barhana khizaN ke rut meN kabhi
Khud apnay jism ko be – barg O baar karna hai


Teray firaaq meN din kiss tarah kattaiN apnay
K shuGhal E shab to sitaray shumaar karna hai


Chalo yeh ashak hi moti samajh kay baich aayaiN
Kissi tarah to hamaiN rozgaar karna hai


Kabhi to dil meN chhupay zakhm bhi numayaaN hoN
Qaba samajh kay badan taar taar karna hai


Khuda khabar yeh koi zid K shouq hai ‘Mohsin’
Khud apni jaan kay dushman say payaar karna hai
Wafa meN ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai Woh sach kahay na kahay aaitebaar karna hai Yeh tujh ko jaagtay rahnay ka shouq kab say huaa? Mujhay to khair teraa intezaaar karna hai Hawa ki zad meN jalanay haiN ansoN kay chiraagh Kabhi yeh jashan sar E rahguzaar karna hai Woh muskura kay naye waswasoN meN daal gaya Khayaal tha K usay sharamsaar karna hai Misaal E shaakh E barhana khizaN ke rut meN kabhi Khud apnay jism ko be – barg O baar karna hai Teray firaaq meN din kiss tarah kattaiN apnay K shuGhal E shab to sitaray shumaar karna hai Chalo yeh ashak hi moti samajh kay baich aayaiN Kissi tarah to hamaiN rozgaar karna hai Kabhi to dil meN chhupay zakhm bhi numayaaN hoN Qaba samajh kay badan taar taar karna hai Khuda khabar yeh koi zid K shouq hai ‘Mohsin’ Khud apni jaan kay dushman say payaar karna hai
0 Comentários 0 Compartilhamentos 402 Visualizações 0 Anterior
Patrocinado
Patrocinado
Virtual Friends

VU Friends

We are dispersed but we are together. We don't know each other face to face But we all know each other by Virtulians We have no classmates But after all we are all classmates. We can't do anything physically for each other  But we are doing everything for each other. That why we are Virtualians.